Tuesday 20 December 2011

life

Zindagi mein kai mushkilein aati hain, Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai, Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech, Reh kar bhi ek phool muskurata hai...

beauty

kitni jaldi ye mulakat gujar jati hai..... pyas bujhti nahi aor barsat gujar jati hai.... apni yado se kah do is tarah na aaya kare... .. nind aati nahi aor rat gujar jati hai.........

Saturday 17 December 2011

love to nature

hey mere dhani" "TU Hi Tou Wo Hy K Jise Mene Halat-E Marz Me Pukara Tou Shifa Dedi, Bhook Me Pukara Tou Ghiza Dedi, Piyas Me Pukara Tou Pani Pila Diya, Zillat Me Pukara Tou Izzat Dedi, Jahalat Me Pukara Tou Noor-E Maa'rifat Se Nawaz Diya, Raah Me Bhatak Gaya Tou Rasta Dikha Diya, Ghurbat Me Pukara Tou Ghani Bana Diya, Jab Kuch B Na Manga Tou Khud Be Hisaab Ata Kr Diya." raj ji hm pr mehar karo

Friday 16 December 2011

great

Hamko kyon tumne bhula diya Dekhe hansi hontho pe Phir kyon itna rula diya Jin hatho ka tha sahara Unhone hee duba diya Hamko chhod majdhaar Khud sahil pe gaya Mere gum kee ye daasta Sunta hai zameen ashmma Ek na sune wahi Jiske liye jita hoon yahana Hamko mila ye kya sila bhulyaa jinke liye sabko Unhone hee hamko kyon bhula diya Dard hai dil main Ankho main anshoo mere Din ke ujale main ab bhee sapne dekhoon tere Na hai ab koi manjil Mile na kohi raste Lagta hai jese ye jindgi Mili hame Gum ke waste Bhula esa kyon diya Jee na paaye chahkar bhee Hum to tumko bhula na paayenge shayad ab to markar bhee

luv is life

Bheega bheega sa yeh december hai Bheegi bheegi si.. tanhai hai In kitaabon main jee nahin lagta Hum ko sajni ki ya..ad aai hai Bheega bheega sa december hai Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain Kuch pyar kay aadhay nagmay Aadhi pyar ki kahaani.. Aik shehar ka raja.. Aur ek gaon ki rani Donon baray premi thay Ban main aaya kartay thay Unkay pyar kay meethay nagmay Panchi gaaya kartay thay Ab na premi hain Na woh baatain hain Aur yaadain hi apni kamai hai.. In kitaabon main jee nahin lagta Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai.... Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai.. Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay Saaray tera poochain gain Kahan hai tera poochain gain Tera premi yaar kahan hai Saaray tera poochain gain Kia bataoon ga Kia kahaani hai Ab to qismat main apni judai hai.. In kitaabon main jee nahin lagta Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai... Shaam dhallay jab panchi Apnay apnay ghar jaatay hain Koi mujhay batlayay Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka.. Kho na jaye mera panchi Lekin mujhko darr tha Mera yeh afsaana hai Saara yeh afsaana hai Mera panchi rasta bhoola Pagal hai anjaana hai Tu gaya hai to Mainay jaana hai Mera dil ab bhi tera deewana hai In kitaabon main jee nahin lagta Hum ko sajni ki ya..ad aai hai... Bheega bheega sa yeh december hai Bheegi bheegi si.. tanhai hai In kitaabon main jee nahin lagta Hum ko sajni ki yaad aai hai.

dost

Koi dost nya ya purana nahi hota. Zindagi ka har pal suhana nhi hota. Sath rehna ya juda hona to kismat ki baat hai. Par judai ka matlab bhulana nahi hota.

lonly

Waqt ne hume chup rehna sikha dia, Aur halat ne sab kuch shna sikha dia Ab kisi ki aas nhi zindgi ko In tanhaiyo ne hme akele jena sikha dia

SAVE THE TIGER


Thursday 15 December 2011

bill gates thought

friend forever

hard time don't last forever but true friendship do 
I will always be there for anything you need
even if it's just someone to listen 

latest song


true words

mehfil-e-masti

Mohabbat krne walo ko koi rasta nahi deta.. Zameen waqif nahi banti falak saya nahi deta.. Udasi jis ke dil mein ho usi ki neend udhti hai.. kisi ko apni ankhon ka koi sapna nahi deta.. Khushi aur dukh ke mausam sabke apne hote hai.. Kisi ko apne hisse ka koi lamha nahi deta.. Uthana khud hi padhta hai thaka toota badan apna.. Ke jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta...

me

shayari

Kabhi socha hai? Humare rishte ka naam kia hai? Dosti, mohabbat, zaroorat, Khwahish, junoon, ishq, Ya wo rishta jo aasmaan ka zameen se hai, Baarish ka sehra se hai, Haqeeqat ka khwabon se hai, Din ka raat se hai? Ye kabhi aik doosre se mil nahi paate, Lekin aik doosre k ba-gher reh bhi nahi sakte, Haan aesa hi kuch rishta mera tum se hai Haan sirf mera tum se hai...!!!

freind