Dil tootna sazaa hai mohabbat ki, dil jodna ada hai dosti ki. Maange jo kurbani woh hai mohabbat, jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari.
Tuesday, 20 December 2011
life
Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai...
beauty
kitni jaldi ye mulakat gujar jati hai.....
pyas bujhti nahi aor barsat gujar jati hai....
apni yado se kah do is tarah na aaya kare...
.. nind aati nahi aor rat gujar jati hai.........
Saturday, 17 December 2011
love to nature
hey mere dhani"
"TU Hi Tou Wo Hy K
Jise Mene Halat-E Marz Me Pukara Tou Shifa Dedi,
Bhook Me Pukara Tou Ghiza Dedi,
Piyas Me Pukara Tou Pani Pila Diya,
Zillat Me Pukara Tou Izzat Dedi,
Jahalat Me Pukara Tou Noor-E Maa'rifat Se Nawaz Diya,
Raah Me Bhatak Gaya Tou Rasta Dikha Diya,
Ghurbat Me Pukara Tou Ghani Bana Diya,
Jab Kuch B Na Manga Tou Khud Be Hisaab Ata Kr Diya."
raj ji hm pr mehar karo
Friday, 16 December 2011
great
Hamko kyon tumne bhula diya
Dekhe hansi hontho pe
Phir kyon itna rula diya
Jin hatho ka tha sahara
Unhone hee duba diya
Hamko chhod majdhaar
Khud sahil pe gaya
Mere gum kee ye daasta
Sunta hai zameen ashmma
Ek na sune wahi
Jiske liye jita hoon yahana
Hamko mila ye kya sila
bhulyaa jinke liye sabko
Unhone hee hamko kyon bhula diya
Dard hai dil main
Ankho main anshoo mere
Din ke ujale main
ab bhee sapne dekhoon tere
Na hai ab koi manjil
Mile na kohi raste
Lagta hai jese ye jindgi
Mili hame Gum ke waste
Bhula esa kyon diya
Jee na paaye chahkar bhee
Hum to tumko bhula na paayenge
shayad ab to markar bhee
luv is life
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
Bheega bheega sa december hai
Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
Kuch pyar kay aadhay nagmay
Aadhi pyar ki kahaani..
Aik shehar ka raja..
Aur ek gaon ki rani
Donon baray premi thay
Ban main aaya kartay thay
Unkay pyar kay meethay nagmay
Panchi gaaya kartay thay
Ab na premi hain
Na woh baatain hain
Aur yaadain hi apni kamai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai....
Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
Saaray tera poochain gain
Kahan hai tera poochain gain
Tera premi yaar kahan hai
Saaray tera poochain gain
Kia bataoon ga
Kia kahaani hai
Ab to qismat main apni judai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai...
Shaam dhallay jab panchi
Apnay apnay ghar jaatay hain
Koi mujhay batlayay
Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
Kho na jaye mera panchi
Lekin mujhko darr tha
Mera yeh afsaana hai
Saara yeh afsaana hai
Mera panchi rasta bhoola
Pagal hai anjaana hai
Tu gaya hai to
Mainay jaana hai
Mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaad aai hai.
dost
Koi dost nya ya purana nahi hota.
Zindagi ka har pal suhana nhi hota.
Sath rehna ya juda hona to kismat ki baat hai.
Par judai ka matlab bhulana nahi hota.
lonly
Waqt ne hume chup rehna sikha dia,
Aur halat ne sab kuch shna sikha dia
Ab kisi ki aas nhi zindgi ko
In tanhaiyo ne hme akele jena sikha dia
Thursday, 15 December 2011
mehfil-e-masti
Mohabbat krne walo ko koi rasta nahi deta..
Zameen waqif nahi banti falak saya nahi deta..
Udasi jis ke dil mein ho usi ki neend udhti hai..
kisi ko apni ankhon ka koi sapna nahi deta..
Khushi aur dukh ke mausam sabke apne hote hai..
Kisi ko apne hisse ka koi lamha nahi deta..
Uthana khud hi padhta hai thaka toota badan apna..
Ke jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta...
shayari
Kabhi socha hai?
Humare rishte ka naam kia hai?
Dosti, mohabbat, zaroorat,
Khwahish, junoon, ishq,
Ya wo rishta jo aasmaan ka zameen se hai,
Baarish ka sehra se hai,
Haqeeqat ka khwabon se hai,
Din ka raat se hai?
Ye kabhi aik doosre se mil nahi paate,
Lekin aik doosre k ba-gher reh bhi nahi sakte,
Haan aesa hi kuch rishta mera tum se hai
Haan sirf mera tum se hai...!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)