Saturday, 13 October 2012

a love story

ek waqt ki baat hai ek ladka tha ek ladki thi....
dono ko ek dusre se bepnah mohabbat thi...

ek dusre ke bina unse jiya nhi jata tha...
ek pal ki bhi judai ka zahar unse piya nhi jata tha...

ladki ka ek sapna tha ke wo kuchh kar ke dikhaye...
apne balboote pe wo kuchh ban ke dikhaye...

use kahaniya likhne ka bda shokh tha...
uska har lafz schayi tha bolta...

isi hunar ko mai aage tak pahuchau uska ye khwab tha...
magar afsoos gareebi ke aage ye khwab la jwab tha...

ladka bhi na tha ameer ke uske sapne ko sakar karta...
magar wo kaise apne mahboob ke hunar ko bekar karta...

ladki ko zaroorat thi kuchh paiso ki jis se wo kitab chhap sakti thi...
yehi wo rasta tha jis se wo apne sapno ki manzil ko bhap sakti thi...

ladke ko usne btaya ke mere liye ye zaroori bahut hai...
magar kya karu ke meri to majboori bahut hai...

ladke ne kuchh na kaha waha se chla gya...
agle dinladki ko uske ghar me ek lifafa mila...

us lifafe me itne paise the jitne ka use kaam tha...
magar bhejne wale ka pta nhi wo to benam tha...

usne paise nikale magar lifafe ko almari aise hi rakh diya...
un paiso se usne apna sapna bhi pura kar liya...

ladke se mil ke usne apni khushi ka izhar kiya...
ladke ko usne us din bepanah pyar kiya...

magar afsoos ladka kuchh waqt me hi ladki ko chhod gya...
dusri duniya me chala gya wo sab se muh mod gya...

ladki ne bulandio tak ka safar tay karna tha...
uski kismat me abhi nhi likha marna tha...

kuchh dino me ladka kio mara iski report aayi...
sab ke samne khul gyi uske pyar ki schayi...

usne ladki ke sapno ke liye apna ek gurda(kidny) bech diya tha...
ladki ke liye usne apni zindagi ka sauda kya tha...

ladki ke naam wo ek chhithi chhod gya tha...
apni jaan dekar tumhare sapne khride hai inhe pura karna khat me bas itna likha tha...

ladki ne bhi uske kiye ka achha sila diya...
apni pahad c zindagi ko akele hi bita diya...

sapne to pure huye uske magar un sapno ka shahzada nhi tha...
mar bhi na payi wo kio ke ladke ne wada jo liya tha...

kya mohabbat me khushi aur pyar ek sath nhi mil sakte...
kya yaha ke chaman me pyar karne wale phool nhi khil sakte...

ekkahani meri jubani

mohabbat ke shahar me ek dafa hum gye...
dekhi jo pyari surate to hum tham gye...

zindagi me the bahut gum hame dekhe magar...
unki aankho se aisi pee ke hmare sab gum
gye...

chadha hum pe unka nasha aisa k...
dekhte dekhte unke deewane se hum ban
gye...

Phir mohabbat ka asar aisa chhane laga...
Is khel me kafi maza hame aane laga...

Magar hum umar ke mutabik abhi nadan the the...
Mohabbat jaan leleti hai is baat se anjan the...

Jisase aankhe milayi wo shaks ankhe churane laga...
Majboorio ke naam pe hamse nazre churane laga...

Phir ek din achanak wo hum se aise door hogya...
Zamane se lad jata tha kabhi aur aaj riwajo ke hatho majboor hogya...

Hum uski judayi me pal pal marne lage...
Zindagi ko chahne wale dua ab mout ki karne lage...

Suna rab ne hamaa farman manzoor kar liya...
Khud ke pas bulaya aur duniya se door kar diya...

Upar gye to dekha sab mohabbat ke mare huye the...
Waha to sab meri tarah hi zindagi se hare huye the...

Sochta hu ke mera hashar shayad aane wale ashiko ko agah karde...
Mohabbat me ab na honge wo andhe khuda un me thodi akal bharde...

ek chote se bachhe ki fariyaad uske baba se jo is dunia main nahi hai

EK CHHOTE SE BACHE KI FARIYAD USKE BABA SE JO AB IS DUNIYA ME NHI HAI....LAUT AAO NA...MUST READ...SHARE AUR TAG KARNA NA BHOOLE...

baba mujhe tum bahut yaad aate ho...
har chhoti chhoti baat pe dil ko rulate ho...

maa kahti hai ke tum taro ke desh gye ho...
ab bahut hua tum waha se laut aao na...

mujhe aakar yaha gale se lagao na...
mujhpe pahle ki tarah ladh ldhao na...

tumhare bina baba mai ab so nhi pata...
rota hu to sab chidhate hai isliye ro nhi pata....

maa kahti hai ke tum bahut jaldi laut aaoge...
taro ke desh se mere liye pariya bhi laoge...

magar mujhko nhi pariyo ki koi zaroorat...
tum khud hi wapis laut aao itna hi bahut hai...

aab mai zid bhi nhi karta...
raat me akela susu jata hu kisi se nhi darta...

baba ab mai maako bilkul bhi tang nhi karta...
tum ab to maan jao na baba laut aao na...

mera pet dukhta hai jab mai zor se rota hu...
to ab mujhe aur mat rulao na baba taro ke desh se laut aaona..

Wednesday, 10 October 2012

masoom bachpan

MASOOM BACHPAN...WO ZAROOR PADHE AUR LIKE KARE JINHE APNA BACHPAN YAAD AATA HAI...

bda yaad aata hai mujhko wo bachpan ka zmana...
wo mitti se khelna wo barish me nhana...

gareebi bhi thi magar mujhe ahsaas hota nahi tha...
tab faqat rota tha athhani ke liye mahboob ke liye mai rota nhi tha..

9 baje nahi ke meri aankho me neend ka nasha sa chha jata tha...
tab raat raat bhar meri yaado me aakar koi mujhe jagata nhi tha..

jeb me ek rupiye ka sikka mujhe badshahat ka maza deta tha...
aaj lakho ki daulat bhi mujhe wo sukun na de payi...

tab jhagde bhi hote the to wo paak hote the...
aaj to pyar me bhi sajish hi nazar aati hai...

tab maa aur papa hi mera pyar the bhai mere mere yaar the...
aaj to matlabi rishto ke ghero ne sab se mujhe begana kar diya...

kash ke ke mai wqat me pichhe ja pata...
"DhIrU" kash me apna wo masoom bachpan wapis la pata...

Wednesday, 3 October 2012

must share if you love your mom sis gf, or wife


jab ek ladki 5 ladko ki fabtio ka nishana bani hoti hai... tab awam beti paida hone ke naam se roti hai... jab pal pos kar beti ko bada kiya jata hai... wohi beti jab kisi ke sath bhag kar baap ki izat ko smaj me dhoti hai... tab awam beti paida karne ke naam se roti hai... jab nazo se pali beti ki zinda jlayi lash baap ke ankho ke samne hoti haii... tab tab har insan ki rooh beti paida karne ke naam se roti hai... jab jab 12 sal ki masoom ko kuchh darnde nochh ke khate hai... tab tab log beti paida karne ke naam se dar jate hai... iska kasoorwar kon hai kya aap jante hai... kio us beti ko paida nhi hone diya jata jise hum devi mante hai... hum hi to hai is ghinone apradh ke zimedar... ab to sharam karo uthao awaz aur roko ye atyachar...