Saturday 13 October 2012

ekkahani meri jubani

mohabbat ke shahar me ek dafa hum gye...
dekhi jo pyari surate to hum tham gye...

zindagi me the bahut gum hame dekhe magar...
unki aankho se aisi pee ke hmare sab gum
gye...

chadha hum pe unka nasha aisa k...
dekhte dekhte unke deewane se hum ban
gye...

Phir mohabbat ka asar aisa chhane laga...
Is khel me kafi maza hame aane laga...

Magar hum umar ke mutabik abhi nadan the the...
Mohabbat jaan leleti hai is baat se anjan the...

Jisase aankhe milayi wo shaks ankhe churane laga...
Majboorio ke naam pe hamse nazre churane laga...

Phir ek din achanak wo hum se aise door hogya...
Zamane se lad jata tha kabhi aur aaj riwajo ke hatho majboor hogya...

Hum uski judayi me pal pal marne lage...
Zindagi ko chahne wale dua ab mout ki karne lage...

Suna rab ne hamaa farman manzoor kar liya...
Khud ke pas bulaya aur duniya se door kar diya...

Upar gye to dekha sab mohabbat ke mare huye the...
Waha to sab meri tarah hi zindagi se hare huye the...

Sochta hu ke mera hashar shayad aane wale ashiko ko agah karde...
Mohabbat me ab na honge wo andhe khuda un me thodi akal bharde...

No comments:

Post a Comment