Saturday 8 December 2012

Aaj se kuch saal pehle yehi december ki raat thi
Jab may tanha or teri tanha zaat thi
Ek morr par miley hum kuch is tarah
Ke mere honto par muskan or tere chehrey par chamak thi chandni ki tarah
Woh pal badalte rahey mosam ki nazakat ki tarah
Dosti esi gehri hoti gai jesey khoon ke rishto ki tarah
Tere ehsaas ko hum har ghari mehsoos karte rahey tujh se bicharne ka na socha kabhi
Humari zindagi may bhi khizan ka mosam aaye ga esa socha na tha kabhi
Teri muskurahat ke lie jeete rahay sanam
Tujhe he apni ghazal kehte rahay hum
Tere ehsaas ne is dil may woh shiddat peda ki
Jis se mohabbat ki meri zindagi may hawa chali
Shayad yehi ehsaas tere dil may bhi hua
Lekin tuney he usey sab se chupa ke rakha
Duniya waley huye sab se aziz tere lie
Or ju tha tere dil ke kareeb usey hee door kar diya sab ke lie
Hum ne qabool kia teri har baat ko tera hukoom jaan kar
Tere jhooti baato ko bhi tasleem kia tera sach maan kar
Haan ye toh sach hai tujh se mohabbat ki or na de paaye gay kisi ko esa pyar tujh se barh kar
Lekin khuda se maangtey hai har pal tujhe haath utha kar
Buhut dil dukhaya hai shayad may ne tera, yehi saza hai meri
Ju tujh se door ho kar khush rehtey nahi kisi ghari
Duniya may ghoom toh ho jata hoon lekin tujhey har jagah paata hoon
Bas itna khayyal rakhna apne dil may mere lie koi malaal na rakhna..
Khuda se maang toh liya tumhey ab dekhtey hain kab woh milaye ga humey
Jab bhi dharkey tera dil zorr se toh samajh jana tera ek ghulam tarap raha hai teri yaad may.
Or haan jab bhi hota hoon udaas toh tere lafzo ko parh leta hoon teri awaz ko sun leta hoon
Teri har baat teri har tasweer merey dil may hai
Tujh se koi shikwa nahi tujh se koi shikayat nahi, bas kuch hai toh tujhe paaney ki aarzo is dil may hai
Ye december bhi AnJaNa sa hai .. Jab bhi lout ke aata hai esa lagta hai jesey jana pechana sa hai...

♥ Teri Meri , Meri Teri , Prem Kahani Hai Mushkil...
Do Lafzo May Ye Bayaan Na Ho Paaye.. ♥

No comments:

Post a Comment